% ISB File: NaiUmarKiNaiFasal_1965.txt, dated: May 27, 2005 \startsong \stitle{aaj kii raat ba.Dii shokh ba.Dii naTakhaT hai}% \film{Nai Umar Ki Nai Fasal}% \year{1965}% \starring{Rajeev, Tanuja}% \music{Roshan}% \singer{Rafi/ Rafi, Asha}% \lyrics{Neeraj}% % Contributor : Guri Singh, Arunabha Shashank Roy % Transliterator: K Vijay Kumar \printtitle #startindian % Rafi solo aaj kii raat ba.Dii shokh ba.Dii naTakhaT hai aaj to tere binaa nii.nd na aayegii ab to tere hii yahaa.N aane kaa ye mausam hai ab tabiiyat na Kayaalo.n se bahal paayegii dekh vo chhat pe utar aayii hai saavan kii ghaTaa de rahii dvaar pe aavaaz kha.Dii puravaaii bijalii rah rah ke pahaa.D.n pe chamak uThatii hai suunii aa.Nkho.n me.n koii Kvaab le jyo.n a.nga.Daaii kaise samajhaa_uu.N? kaise samajhaa_uu.N ki is vaqt kaa matalab kyaa hai dil kii hai baat ho dil kii hai baat na ho.nTho.n se kahii jaayegii aaj to tere binaa nii.nd nahii.n aayegii \threedots ye bhaTakate hue jugunuu ye diye aavaaraa bhiigate pe.Do.n pe bujh\-bujh ke chamak uThate hai.n tere aa.Nchal me.n Take salame.n sitaare jaise mujh se milane ko binaa baat damak uThate hai.n saaraa aalam saaraa aalam hai giraftaar tere husn me.n jab mujhase hii kaise ho, mujhase hii kaise ye barasaat sahii jaayegii aaj to tere binaa nii.nd nahii.n aayegii \threedots raat raanii kii ye bhiinii sii nashiilii khushabuu aa rahii hai ke jo chhan chhan ke ghanii Daalo.n se aisaa lagataa hai kisii DhiiTh jhakhore se lipaT khel aayii hai tere ulajhe hue baalo.n se aur bezaar aur bezaar na kar, mere ta.Dapate dil ko aisii ra.ngiin ho, aisii ra.ngiin Gazal raat na phir gaayegii aaj to tere binaa nii.nd nahii.n aayegii \threedots % Asha - Rafi Duet aa: aaj kii raat ba.Dii shokh ba.Dii naTakhaT hai aaj to tere binaa nii.nd nahii.n aayegii ab to tere hii yahaa.N aane kaa ye mausam hai ab tabiiyat na Kayaalo.n se bahal paayegii haay paanii kii ye rimajhim ye khuledaar phuhaar aise nas nas me.n terii chaah jagaa jaatii hai jaise pi.njare me.n kisii qaid pa.De pa.nchhii ko apanii aazaad u.Daano.n kii yaad aatii hai ab to aa jaao ab to aa jaao mere maa.Ng ke sinduur suhaag saa.Ns terii hai saa.Ns terii hai tere naam pe miT jaayegii aaj to tere binaa nii.nd nahii.n aayegii \threedots aisii hii raat to vo thii ki terii nazaro.n ne mujhe pahanaayaa thaa jab pyaar ke kapa.Do.n kaa libaas aur us raat bhii aisii hii sharaabii thii fizaa jab terii baaho.n me.n mahakii thii merii saa.Ns\-o\-adaa (?) aur ab aisii aur ab aisii javaa.N rut me.n akelii mai.n huu.N aa jaa varanaa aa jaa varanaa ye shamaa kaa.Np ke bujh jaayegii aaj to tere binaa nii.nd nahii.n aayegii \threedots ra: par Thahar vo jo vahaa.N par Thahar vo jo vahaa.N leTe hai.n fuT_paatho.n par laash bhii jinake kafan tak na yahaa.N paatii hai aur vo jho.npa.De chhat bhii na hai sar par jin ke chhaate chhappar hii jahaa.N zi.ndagii so jaatii hai pahale in sab ke liye pahale in sab ke liye ek imaarat ga.Dh luu.N phir terii maa.Ng phir terii maa.Ng sitaaro.n se bharii jaayegii aa: aaj to tere binaa nii.nd nahii.n aayegii \threedots #endindian \endsong % _End_of_Lyrics \startsong \stitle{dekhatii hii raho aaj darpaN na tum}% \film{Nai Umr Ki Nai Fasal/ New Crop of the New Age}% \year{1965}% \starring{Rajeev, Tanuja}% \singer{Mukesh}% \music{Roshan}% \lyrics{Neeraj}% % Contributor: Vinayak K.Gore % Transliterator: Malini Kanth \printtitle #indian dekhatii hii raho aaj darpaN na tum pyaar kaa ye mahurat nikal jaayegaa, nikal jayegaa saa.Ns kii to bahut tez raftaar hai aur chhoTii bahut hai milan kii gha.Dii guu.Ndhate guu.Ndhate ye ghaTaa saa.Nvarii bujh na jaaye kahii.n ruup kii phulajha.Di chuu.Diyaa.N hii na tum ## music follows ## chuu.Diyaa.N hii na tum khanakhanaatii raho ye sharamashaar mausam badal jaayegaa, badal jaayegaa surkha ho.nTho.n pe uf ye ha.Nsii madabharii jaise shabanam a.Ngaaro.n kii mehamaan ho jaaduu bunatii hu_ii ye nashiilii nazar dekh le to Kudaa_ii pareshaan ho muskuraavo na aise ## music follows ## muskuraavo na aise churaakar nazar aainaa dekh suurat machal jaayegaa, machal jaayegaa chaal aisii hai madahosh mastii bharii niind suuraj sitaaro.n ko aane lagii itane naazuk qadam chuum paaye agar sote sote biyaabaana gane lage mat mahaavar rachaa_o ## music follows ## mat mahaavar rachaa_o bahut paa.Nv me.n farsha kaa maramarii dil bahal jaayegaa, bahal jaayegaa dekhatii hii raho aaj darpaN na tum #endindian \endsong % _End_of_Lyrics \startsong \stitle{isako bhii apanaataa chal}% \film{Nai Umar Ki Nai Fasal/ New Crop of the New Age}% \year{1965}% \starring{Tanuja, Rajeev, Leela Chitnis}% \singer{Rafi}% \music{Roshan}% \lyrics{Neeraj}% % Contributor: Arunabha S. Roy % Transliterator: Arunabha S. Roy \printtitle #indian #humming # isako bhii apanaataa chal, usako bhii apanaataa chal raahii hai.n sab ek Dagar ke sab par pyaar luTaataa chal isako bhii apanaataa chal, usako bhii apanaataa chal idhar kafan tak nahii.n laash par udhar numaayish resham kii yahaa.N swaya.nvar kare chaa.Ndanii vahaa.N na raat kaTe Gam kii dharatii ka.nkar patthar maare ambar ugale a.ngaare koii puuchhe baat na is bagiyaa me.n dukhiyaa shabanam kii sukh kii umr ba.Dhaataa chal, dukh ko kafan o.Dhaataa chal mile jahaa.N bhii mahal use kuTiyaa ke paas bulaataa chal isako bhii apanaataa chal, usako bhii apanaataa chal bikaa\-bikii sab or machii hai aane yaa do aano.n par ismat bike doraaho.n par to pyaar bike duukaano.n par Dagar\-Dagar par ma.ndir masjid qadam qadam par gurudvaare bhagavaano.n kii bastii me.n hai zulm bahut inasaano.n par khi.Dakii har khulavaataa chal, saa.Ntal (?) har kaTavaataa chal is par bhii roshanii na ho to dil kaa diyaa jalaataa chal isako bhii apanaataa chal, usako bhii apanaataa chal ridarde(?) ke biich khaa_iyaa.N lahuu bichhaa maidaano.n me.n ghuum rahe hai.n yuddh sa.Dak par shaa.nti chhipii shamashaano.n me.n za.njiire.n kaT ga_ii.n magar aazaad nahii.n inasaan abhii duniyaa bhar kii Kushii qaid hai chaa.Ndii ja.De makaano.n me.n taT\-taT raas rachaataa chal, panaghaT\-panaghaT gaataa chal pyaasaa hai har praaN, nayan kaa ga.ngaa jal chhalakaataa chal isako bhii apanaataa chal, usako bhii apanaataa chal nayan\-nayan tarase sapano.n ko aa.Nchal tarase phuulo.n ko aa.Ngan tarase tyohaaro.n ko galiyaa.N tarase.n jhuulo.n ko kisii ho.nTh par baje na ba.nsii kisii haath me.n biin nahii.n umar samu.ndar kii de Daalii kis ne cha.nd babuulo.n ko so_ii kiraN jagaataa chal, ruuThii subahe.n manaataa chal pyaar naqaabo.n me.n na ba.nd ho har ghuu.NghaT khulavaataa chal isako bhii apanaataa chal, usako bhii apanaataa chal #endindian \endsong % _End_of_Lyrics \startsong \stitle{svapn jha.De phuul se, miit chubhe shuul se}% \film{Nai Umar Ki Nai Fasal}% \year{1965}% \starring{Rajeev, Tanuja}% \singer{Rafi}% \music{Roshan}% \lyrics{Neeraj}% % Credits: rec.music.indian.misc % Rajat Bhatnagar (rbhatnag@essex.ecn.uoknor.edu) % Raj Ganesan (cpd.tandem.com!raj) % C. S. Sudarshana Bhat (cesaa129@utacnvx.uta.edu) % Venkatasubramanian K Gopalakrishnan (gopala@cs.wisc.edu) % Mohan Rathore (rathore@ece.rutgers.edu) % R. Gopalakrishnan (gopalakr@cis.udel.edu) % Preetham Gopalaswamy (preetham@src.umd.edu) % Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu) \printtitle #indian svapn jha.De phuul se, miit chubhe shuul se luT gaye shrR^i.ngaar sabhii, baag ke babuul se aur ham kha.De kha.De, bahaar dekhate rahe kaaravaa.N guzar gayaa, gubaar dekhate rahe aa.Nkh bhii khulii na thii ki haaya dhuup Dhal ga_ii paa.Nv jab talaq uThe ki zi.ndagii fisal ga_ii paat paat jha.D gae ki shaakh\-shaakh jal ga_ii chaah to nikal sakii (na par umar nikal ga_ii) \- 2) giit ashk ban gae, svapn ho dafan gae saath ke sabhii diye, dhuaa.n pahan\-pahan gae aur ham jhuke\-jhuke, mo.D par ruke\-ruke umr kii cha.Dhaav kaa utaar dekhate rahe, kaaravaa.N guzar\threedots kyaa shabaab thaa ki phuul phuul pyaar kar uThaa kyaa kamaal thaa ki dekh aainaa sihar uThaa is taraf zamiin aur aasamaan udhar uThaa thaamakar jigar uThaa (ki jo milaa nazar uThaa) \- 2) par tabhii yahaa.N magar, aisii kuchh havaa chalii luT ga_ii kalii kalii ki ghuT ga_ii galii galii aur ham luTe\-luTe, vaqt se piTe\-piTe shaam kii sharaab kaa khumaar dekhate rahe, kaaravaa.N guzar\threedots haath the mile ke zulf chaa.Nd kii savaar duu.N ho.nTh the khule ke har bahaar ko pukaar luu.N dard thaa diyaa gayaa ke har dukhii ko pyaar duu.N aur saa.Ns yuu.N ke svarg, (bhuumi par utaar duu.N \- 2) ho sakaa na kuchh magar, shaam ban ga_ii sahar vo uThii lahar ke Dhah gaye kile bikhar bikhar aur ham Dare Dare, niir nain me.n bhare o.Dh kar kafan pa.De mazaar dekhate rahe, kaaravaa.N guzar\threedots maa.Ng bhar chalii ke ek jab na_ii na_ii kiran Dhol se dhunak uThii Thumak uThe charaN charaN shor mach gayaa ke lo chalii dulhan chalii dulhan gaa.Nv sab uma.Da pa.Daa, (bahak uThe nayan nayan \- 2) par tabhii zahar bharii gaaz ek vah girii puu.nchh gayaa si.nduur taar taar huii chunarii aur ham ajaan se, duur ke makaan se paalakii liye huye kahaar dekhate rahe, kaaravaa.N guzar\threedots svapan jha.De phuul se, miit chubhe shUl se luT gaye shrR^i.ngaar sabhii baag ke babuul se aur ham kha.De kha.De bahaar dekhate rahe kaaravaa.N guzar gayA gubbaar dekhate rahe #endindian \endsong % _End_of_Lyrics \startsong \stitle{thii shubh suhaag kii raat madhur}% \film{Nai Umar Ki Nai Fasal}% \year{1965}% \starring{Rajeev, Tanuja}% \singer{Manna Dey}% \music{Roshan}% \lyrics{Manmohan Tiwari}% % Contributor: Vinayak K Gore % Transliterator: Vinayak K Gore % Date: 4 Sep 2003 % Comments: corrections provided by Sushil Sharma % generated using giitaayan \printtitle #indian thI Subh suhaag kI raat madhur madhu Chalak rahaa thaa kaN kaN meM sapane jagate the nainoM meM aramaan machalate the man meM saradaar magan man jhUm rahaa pal pal har aMg pha.Dakataa thaa hoThoM par pyaas mahakatI thI praaNoM meM pyaar dha.Dakataa thaa tab hI ghU.NghaT meM muskaatI pag paayal Cham Cham ChamakaatI raanI antHapur meM AyI kuCh sakuchaatI kuCh SaramaatI meMhadI se haath rache donoM maathe par kumakum kaa TIkaa goraa mukha.Daa muskaa de to pUnam kaa chaa.Nd lage fIkaa dhIre se ba.Dh chU.Daavat ne 2 raanI kaa ghU.NghaT paT kholaa nas nas meM kauMdh g{I} bijalI pIpal patte saa tan Dolaa adharoM se adhar mile jab tak lajjaa ke TUTe Cha.nd ba.ndh raN bigul dvaar par gU.Nj uThaa 2 SahanaaI kaa svar huA ma.nd bhujaba.ndhan bhUlaa AliMgan AliMgan bhUl gayaa chumban chumban ko bhUl g{I} saa.NseM saa.NsoM ko bhUl g{I} dha.Dakan sajakar suhaag kI sej sajI 2 bolaa n yuddh ko jaaU.Ngaa terI kajaraarI alakoM meM man motI Aj biThaaU.Ngaa pahale to raanI rahI maun phir jvaal jvaal sI bha.Dak uThI bin badaal bin barakhaa maano kyaa bijalI koI ta.Dap uThI ghaayal naagan sI bhau.nh taan ghU.NghaT ukaa.Dakar yU.N bolI talavaar mujhe de do apanI tum pahan raho chU.DI cholI pi.nja.De meM koI ba.nd sher 2 sahasaa sote se jaag uThe yaa A.NdhI a.ndar liye hue(?) jaise pahaa.D se Ag uThe ho gayaa kha.Daa tan kar raaNaa haathoM meM bhaalaa uThaa liyaa har har bam bam bam mahaadev 2 kah kar raN ko prasthaan kiyaa dekhaa jab(?) pati kaa vIr veSh pahale to raanI harShaaI phir sahamI jhijhakI akulaaI A.NkhoM meM badalI ghir AI baadal sI g{I} jharokhe par 2 parakaTI ha.nsinI thI adhIr gho.De par cha.Dhaa dikhaa raaNaa jaise kamaan par cha.Dhaa tIr donoM kI A.NkheM huI chaar chu.Daavat phir sudhabudh khoI sa.ndeS paThaakar raanI ko ma.Ngavaayaa premachihn koI sevak jaa pahu.Nchaa mahaloM meM raanI se maa.NgI saiNaanI raanI jhijhakI phir chIkh uThI bolI kah de mar gaii raanI le khaDg haath phir kahaa Thahar le saiNaanI le saiNaanI ambar bolaa le saiNaani dharatI bolI le saiNaanI rakh kar chaa.NdI kI thaalI meM sevak bhaagaa le saiNaani raaNaa adhIr bolaa ba.Dhakar laa laa laa laa laa saiNaanI kapa.Daa jab magar uThaayaa to rah gayaa kha.Daa mUrat banakar lahUluhaan raanI kaa sir ha.Nsataa thaa rakhaa thaalI par saradaar dekh kar chIkh uThaa haa haa raanI merI raanI adbhut hai terI kurbaanI tU sachamuch hI hai xatraaNI phir e.D lagaaI gho.De par dharatI bolI jay ho jay ho haa.DI raanI terI jay ho o bhaarat maa.N terI jay ho 4 #endindian \endsong % _End_of_Lyrics % _End_of_File